Khuda se maafi kaise mangna chahiye? sirf dil me gunah ka pachtava hone se hi khuda maaf kar deta he? zuban se astagferullah bolna zaruri he ?
ALLAH swt to beshk dil ka janta he lekin kya zuban se bolne se koi fayda he alag? jaise ki hamari khudko zyada dimag me asar kRe ya aisa kuch

Ji zuban se bolne ka faeda alag hai.
Agr alag se faeda na hota to Khuda Quran aur Ahle Bait as Ahadees me zaban se isteghfar ke liye kyu kahte?
Duae Kumail, Munajat Amerul Momeneen, Dua e Abu Hamza etc ye sab Zaban se isteghfar nahi hai to kya hai?
Dil se pachtava to zaroori hai lekin Zaban se izhar bhi shart hai

Koi Dil se islam qabool kar le lekin zaban se Kalma na pare to uska islam sahi hai?