Khutba e Shaqshaqia k baare me ek sawaal hai. Jo khat Imam k hath me Iraqi ne diya tha jiss wajah se imam Ali a.s. ne khutba tut gaya kya usme kuch likha tha khaas? Ya jaise k imam farmaate hai k yeh ek oont k muh k jhaag ki tarah tha jo bas gir gaya aur ab aage nahi keh sakte. Yehi maajra tha aur khutbe ko beech me chod deni ki asl wajah kya thi?