Kia biwi pe farz hai k agar shohar usay ghr se nikalne se mana krde tou woh na niklay? Shariat mein iss ki kia ruling hai?

Shohar bohat restriction laganay ki baat krta hai k bahar nahi jao gi, makeup nhai kro gi. Apne mehran bhai behno ristedaro se baat krne ki ijazat bhi nhi deta.

Iss pe kia ehkaam hai kia ye jayaz hai k nahi?

Agar che shariyat main Shauhar ko Biwi ke upper kuch mamalon main akhtiyar diya gaya hai magar iska hargiz eh matlab nahin hai ke woh is akhtiyar ka misuse kare.
Jab shauhar apni wife ke tamam ekhrajat ko poora karta hai to use ab eh haqq hai ke woh kasa kahe wife waisa kare (shariat ke daire main) jis tarah agar shauhar apni wife se kahe ke parda na karo ya namaz mat parho ya wajib roza mat rakho to ab aise main shauhar ki ita’at karna Haram hai. Isi tarah agar shauhar kahta hai ke kisi na mahram se baat na karo to wife nahin kar sakti ( magar yahan per eh dekhna hoga ke aisa nahin hai ke islam main aurat aur mard agar na mahram hai to baat nahin kar sakte eh ghalat hai zarrori baat ho ya aisi baat jismain gunah ka khatra nahin hai to ki ja sakti hai) magar Quran main hai ke aurat jab bhi kisi na mahram se ham kalam ho to apne lahje to narm na kare aur bahot soft way main baat na kare.
Jahan tak make up ki baat hai
Ek lamha Insan soche koi aurat soche woh make up kion kar rahi hai? Shayad jawab mile take achchi dikhe! Ok correct magar sawal hai kisko dikhana hai? Agar na mahram mard ko to eh to society main fasad paida karega magar agar auraton ki Mahfil hai to koi harj nahin hai.
Dekhiye bahot si cheezen hai jinka indirect effect hota hai. Agar che mardon per utna hi hukm aata hai ke woh apni nazron ko na mahram se bachayen magar aurat ki bhi barhi zimmedari hai ke woh apne aap ko show off mat karen.
Lehaza agar aapke shauhar completely make up karne ko ghalat kahte hain to eh ziyadti hai balke aurat ke liye apne shauhar ke liye sajna sanwarna naik amal kaha gaya ha. Aur agar na mahram ke liye make up karne ko mana karte hain to bilkul sahi hai.
Aur aakhiri baat agar aap hijab main rahkar apne cousin aur apne shauhar ke bhai aur bhtijon aur cousin’s ke samne aati hain to koi mushkil nahin hai.