Agar aapko yaqeen hai ke jo jacket ya belt aap pahen rahe hain halal gosht animal ki skin se bana hai tab to aap use pahen sakte hain aur touch bhi kar sakte hain.
Magar agar halal gosht animal ki skin se to bana hai magar is animal ko Islamiclly zibh ( slaughter) nahin kiya gaya hai to pahen to sakte hain magar namazmain nahin pahen sakte aur wet hands se touch bhi nahin kar sakte .
Agar aapko maloom hai na to yeh Halal gosht janwar ki skin se bani nahin hai to normal time main to pahen sakte hain magar namaz main nahin pahen sakte na hi use wet hands se touch karna hai.
Agar aapne leather ka koi product kisi muslims se liya hai ya Muslim market se liya hai ya Muslim country se liya hai aur yeh sources reliable hain to uske Namaz main bhi pahen sakte hain.