Kindly tell me the conditions in which Namaz Rad-E-Mazalim should be prayed?
Aur ham in Namaz ko kab aur kis trah par sktaiy hai?

Kisi bhi Waqt padh sakte hain.
4 rakat namaz hai 2 rakat rakat karke padhni hai .
Niyat : main 2 rakaat namaz radd e mazalim padhta hon qurbatan Elallah
First rakaat surah hamd uske baad 25 time surah ikhlas (Qul Howallu Ahad ka surah )
Second rakat surah Hamd ke bad 50 times surah ikhlaas phir qunoot
Ruku sajde Tashahud wa Salam
Phir 2 rakat niyat usi tarah ab first rakat me surah hamd ke bad 75 times surah ikhlas phir second rakat me surah hamd ke bad 100 times surah ikhlaas aur namaz complete kar lein