Kindly ye batayen k Zulaykha kee Touba kab aur kese qubool hui..?

jab janabe yusuf hakim ban gae aur zulaikha jo ki budhi aur andhi ho chuki thi aur bheek mangti thi to logon ne usse kaha ki yusuf se kuch talab karo lekin dusre logon ne mana kia ki kahin yusuf ko tera zulm yaad Aa jae to wo badla na le lekin zulaikha ne kaha ki jis yusuf ko main janti hun wo aisa nahi hai wo kareem hai, ek din yusuf ki sawari guzar rahi thi to zulaikha aai aur kaha us khuda ki hamd jisne gunah ke sabab shahzadi ko zaleel aur itaat ki wajah se Ghulam ko badshah banaya,,…. Phir yusuf ko pahchanwaya aapne pucha kya abhi bhi mujhse Ishq hai usne kaha Haan aapne kaha agar aakhri nabi ko dekh lo to tumhara kya haal hoga usne kaha aapne Sirf naam lia dil me mohabbat aagai,,, Phir allah ne kaha Ae yusuf iske dil me mere mohammad ki mohabbat aai hai to ab tum shadi karo Phir tauba hui aur shadi……….