Kisi ki namaz qaza reh gayi ho aur uska inteqal ho jayen uske inteqal ke baad uske ghrwale kisi ko paise dekar uski qaza namaze padwaye lekin unhe is baat ka ilm na ho ke jisko paise dekar qaza namaze padwa rahe h usne namaz padi ya nahi padi. Unke ilm mein yeh hai unhone paise dekar qaza namaze padwa di hain magar jis shaqs ne namaz padne ke liye paise liye aur namaz nahi padi to is haalat mein murde ki qaza namaze puri mani jaengi ya nahi? Kyunki yeh bat sirf allah ko pta hogi ya us shaqs ko pta hogi jisne namaz padne ke liye paise liye. Mujhe yeh janna h is halat mein murdo ko uski qaza namaze puri na hone ki saza milegi ya fir us shaqs ko jisko qaza namaze ada karne ke liye paise diye the usko saza milegi?

Agar yaqeen ho ke usne nahi padhi hai ya shak ho ke nahi padhi hai to apku dubara kisi se padhana padhega. Aur agar yaqeen ho ya uske kehne se itminan hojaye to kafi hai.
Kisi par bharosa kiya ho to usku baqi rakhien.