Agar apko kisi bhi normal book ke author ki ilmi shakhsiyat (personality) ka pata lagana ho ya aap author ko to pahle se jante hon lekin ye yaqeen hasil karna ho ki ye book usi author ki likhi hui hai ya nahi to apko us book ko ek baar padhna zaroor padega aur agar aapko wo zaban nahi aati hai jisme wo book likhi gayi hai to kam se kam uska ek sabse achcha aur authentic translation agar apko mil jaye to use padhkar samajhne ki koshish karenge ki kya ye book usi author ki likhi hui hai ya nahi?
Yahi mamla Quran-e-majeed ka bhi hai ki agar hame kisi ke samne ye prove karna ho ki ye Allah ki kitab hai to ek baar Quran ko Arabic me ya at least apni zaban me uska sabse sahi translation to padhna hi padega. Hamare Nabi s.a. ka mojiza Janabe Musa a.s. ki tarah koi asa ya doosri cheez nahi hai balki Quran ki shakl me ek book hai yani unka mojiza "Ilm" hai.
Ab jo bhi is book ko study karega to ye book aaj tak sabko challenge karti hai ki agar tumhe shak hai ki ye book Allah ki taraf se nazil hui hai ki nahi to iska jawab lakar dikhao ya kam se kam iske ek sure (Chapter) ka jawab lakar dikhao, ya sirf 10 ayaton (Verses) ka jawab lakar dikhao aur agar itna bhi nahi kar sakte to sirf 1 ayat (Verse) ka jawab lakar dikhao. Aur ham agar history uthakar dekhen to kai aise logon ne jawab lane ki koshish bhi ki jinki mother tongue Arabic thi aur wo Arab Literature ke expert bhi the lekin wo nakaam rahe aur aaj bhi kai log aisi koshish karte rahte hain lekin hamesha nakaam hote hain iska matlab taqreeban 1450 saal se Arabic ka koi expert aisa nahi paida hua jo iska aisa jawab likhta ki Quran ki barabari kar sake jis se ye prove hota hai ki Quran Insan ki likhi hui kitab nahi hai balki Allah ki kitab hai jaisa ki khud Quran apne bare me claim karta hai.
Yahan par ye point bhi obvious hai ki aisa nahi hai ki Arab me hamesha se ab tak sab Musalman hi rahe hon ki wo Quran ko pahle se maante rahe hon balki bahut se Non-Muslims bhi guzre hain aur aaj bhi hain sirf itna hi nahi balki Islam ke sakht tareen dushman bhi rahe hain to unhone to zaroor chaha hoga ki Quran ke is challenge ko counter kar den lekin unki nakaami sabit karti hai ki Quran Allah ka kalam hai jaisa ki Quran khud apne bare me bayan kahta hai.