Beshak Jinnat Allah ki makhlooq hain aur unke liye bhi Shariyat hai aur unmain bhi Achche- Bure, Momin-Kafir jinn hai.
Magar sawal eh hai ke jab woh har aitbar se Insan se alag hai to unki Shariyat bhi Alag hone chahiye kionke unka rahna, khana Pina, sona, jagna sab kuch alag hai to fir unke Ahkam bhi alag hona chahiye. Kia koi Insan eh kah sakta hai ke Jinnat wahi cheezen khate hain jo Insan khate hai agar koi aisa kahta hai to woh nadan hai .
Lehaza ham log jab Jinnat ki baat karte hain to kion unko Insan ki tarah samajhne lagte hain. Woh hamse different hain lehaza unmain bhi Aalim aur Jahil hai to jo unke Aalim hone woh unke paas jayenge na ke hamare marja ke pass.