Kiya light off kr ke andhere me namaz pad sakte he? Matlb ye he k andhere me sukoon se namaz padhna sahi h?

Ji parh sakti hain magar eh makrooh hai. Beshak Namaz main Khuloos aur presence of mind Ahem rukn hai aur Namaz ki Rooh hai magar aisa bhi nahin hai ke aisa karne ke liye andhera hi zaroori hai. Eh aur Wajah hai ke kam AZ kam ghar main waledain jab namaz parhen to unke bachche jab dekhenge to unmain bhi Raghbat paida hogi aur silent message diya ja sakta hai ya digar ghar ke afrad jo bhai bahen agar khuda na khasta namaz nahin parhte ya agar parhte hain to waqt per nahin parhte lehaza namaz ko na to bahot crowd main parhne ka hukm hai aur na hi aisa kaha gaya hai ke Insan room band karke andhere main parhe.