Kuch arsy say mery sath yun ho rha hai k mein jb bilkul akeli hoti hun to m sakoon or khush rehti hun, mjy khuda mehsoos hota hai magar jesy he m kisi s bat karti hn like working place pay ya apny gar m kisi s bat karti hn to jesy he ye Allah ko mehsoos hony ka rabta toot’ta hai mein bht be chain ho jati hn mera dil gabrata hai, mein depression m chali jati hun. Ya kbi agr m outing ya shopping wagera k liye niklun to b m bht depression m chali jati hn mjy kya karna chahye? Esa koe rasta ya amal k jis s ye rabta na tooty ?

Yeah ache baat hay kay apka duniya main dil nahe lagta, but Islam humain jahan, ibadaat aur Allah subhantala say rabtay ka hukum daita hay wahan Socitey main rehna aur sab say rabta rekhna bhe sekhata hay. Kionkay ager Allah subhantala kee makhlooq razi hoge, Allah subhantala bhe razi hoga Logon say baat kerna , milna bhe Allah subhantala kee khatir karain tu app hamesha khoosh rehain gee

Droodh kee ik tasbeh din main perhain. Fajar kee namaz kay baad Astagfar kee ik tasbeh perhain

InshahAllah sab thek hoga