Mai humesha chahta hu ke nek banu namaz me regular hojaun, but kuch din padhta hu fir chutne lag jaati hai namaz. Abhi 1st Ramzan se padhra tha but fir se 10 roze k baad se namaz chutne lagi. Mobile pe tym pass krne lagjata hu. Please bataiye k namaz me regular kaise banu or gunahon ko humesha k liy kaise chodu.

Allah ki tamam makhlooq main Insan ko sirf is liye imtiyaz hasil hai kion ke Allah ne use “khwahishat e insani” desires ke sath “ Irada” bhi diya hai. Aur eh Irada insan apni Aql (intellect) aur Divine Guidance ( Prophets, Quran, Aimmah) ki hidayat ki Roshni tay karta hai.
Ab agar Insan ka Irada jitna mazboot hoga ya yoon kaha jaye Insan jitna apna irada mazboot karta jayega utna apne se Shitan ko( shaitani taqaton ko) door karta jayega aur Insaniat ki manzil main aage badhta chala jayega.
Isi ke opposite jitna Irada kamzoor hoga unta Shaitan ke jaal main fansta chala jayega aur Insaniat ki mazil se door hota chala jayega.
Lehaza jab bhi Namaz ke waqt aisa khayal aaye ke abhi parh loonga abhi to bahot waqt hai bas usi waqt mind strike karna chahiye ke eh Shaitani waswasa hai ab chahe kitna hi zaroori kam hi kion na ho agar namaz se takra raha hai to samjh jayen eh Shaitan ka waswasa hai aur ab aapko Faisla karna hai ke Shaitan ki baat sun na hai ya Us Aql aur Ilahi Numayandon ki jinhain Allah ne sirf aur sirf is liye bheja tha ke Insan haqiqat main Insan ban jaye.
Aur fir jab Musalla e Ibadat per aa jayen to ab Allah ka chukr karen aur mazeed Taufiqat ki Dua mangen.
Jaisa ke khud Quran main irshad bayan hua hai ke Namaz aur Sabr ke zariye Madad Talab karo.

وَاسْتَعِينُوا بِالصَّبْرِ وَالصَّلَاةِ وَإِنَّهَا لَكَبِيرَةٌ إِلَّا عَلَى الْخَاشِعِينَ

And seek assistance through patience and prayer, and most surely it is a hard thing except for the humble ones,(2:45)
Allah se dua hai ham sab ki hidayat farmaye.
Fiamanillah