Mai kuch saal se khums nikaal ra hun. Iss baar ki taariq aane se pehle yeh hua k maine 20 hazaar ek shaqs ko udhar k taur pe de diye.
1) Toh in paiso pe bhi khums nikaalna hoga ya agar khums nikaalne ke kuch din baad agar wo shaqs muje paise lautay to kya us waqt nikaalna hoga?
2) Har mahine mai kuch paise apni wife ko deta hun. Kya khums ki tariq ke din wife ke paas jo paise jama honge jo mere hi diye hue hain unpar bhi khums wajib h?

1) Jab aap ke pas aayenge tab nikalna hoga.
2) Ji ha wife ke paas bhi raqam bachat shumar hogi. Uoos par bhi khums hoga.