Mai ye puchra hun k sunni aashur k din roza rkhte ha mere ek dost maine un s baat k is baare m vo mujhse bole k quran s koe daleel sabit kro k aashur ka roza jaiz nae ha. Agr koe daleel ha is baare m to mai unko dkha doon. or vo log aisa q krte roza q rkhte hai.

Pahli baat unse poochiye ke Quran main kia 10 Moharram ke din Roza rakhne ka koi Hukm hai kia jo usse na sakhne ke liye Dalil pesh ki jaye.
Dosri baat eh cheez Quran se bilkul sabit hai ke Kisi Fasiq aur Fajir hukmraan ki pairvi karna aise hi hai jaise Allah ke dushman ki pairvi karna hai to phir kion Sunni Hazraat Muawia ki pairvi karte hain aur agar Muawia unke liye fasiq nahin tha To kia Yazid bhi fasiq nahin tha jisko Muawia ne apni zindagi main eh jante hue ke woh kaisa hai apna janasheen bana diya isko woh Quran se sabit kar den fir ham Aashur ko roza na rakhna Quran se sabit kar denge.
Zahir si baat hai jo kaam kisi ki tauheen ke liye kiya jaye usko dosron ke zariye follow karna shariat main jayez nahin hai. Aur 10 Moharram ko Umar Sa’ad ne Imam Husain (a.s) ke Qatl per shukr karne ke liye Roza rakha tha. Zahir hai Sunni brothers ko Imam Hisain (a.s) ki qadro manzilat ka andaza To hoga hi. Lehaza jo kam Nawasa e Rasool ke Qatl per jashn ke taur per anjam diya gaya ho usko kaise follow kar sakte hain.