Mainay apnay saray paisay HBL Islamic Saving account mai dalay hoay hain. Account banatay waqt unhune bataya tha ke Islamic Saving acc ke investments aisi hoti hain ke risk kum hota and tabhi profit kum hota. To ye jo profit mujhay milta hai, kia ye sahi hai? Normal saving account ke paisay banks shares mai lagatay hain jiska buhat high risk hota hai and high return. Islamic Saving ke paisay mudaraba method se use hotay hain. So ye profit kia jayez hai?