Maine ahad kiya tha apni salary ka 50 % zarurat mando ko dunga, kyonki corona virus ke vajah say bohot say log berozgar hai. Us time mujhe nahi laga tha key family members ko zyada zarurat nahi hai mai kisi gareeb ko dunga jo zyada needy ho.
Ab mujhko lag raha hai kuch maire relatives bhai bhana ko zyada zarurat hai, kya ye paisa mai unko bhi dey sakta hu?

Jaisa ke aapne bayan kya hai ke “ Zaruratmand ki madad karenge” agar ismain koi qaid o band nahin lagayee hai to ab choonke aapne relatives bhi zarurat mand hai to bilkul aap unki madad is raqam main se kar sakte hain.