Maine apni wife ko shadi ke kuch din baad hi meher adaa kar dia. Ab pata chala ke usne woh sare paise apni maa ko de diye or woh chahti he ke woh paise uski maa hi rakh len. Kya yeh sahi hai? Muje khushi jab hogi jab woh paise wife apne par lagae ya uska koi apne liye acha samaan le aaye. Mai jald isliye adaa ni kiye ke woh paise kisi teesre ko pohochen. Please advise

Aap ne ada kar diya, aap wajebat ada kar chuke.
Uoos ki marzi jaha par kharch kare.
Uoos ka maal hai.
Uoos ki maa ko diya voh bhi behtarin rasta hai kharch ka, jis me bahut sawab hai. Achcha momin neki kar ke khush hota hy. Aap samjhe ke bahut hi badi ibadat aap ke paise se huvi hai, chize lekar barbad nahi huve.