Me ek student hon aur meri adat hai ke me Islamic books parhta hon. Abhi recently mujhy shak bona shuru hogaya hai ke ye book me theek likha hai ke nahi?

1) To mujhy books parhte waqt kiya kiya aur kin kin cheezon pr dhiyan rakhna chahiye ?

2) AGR kisi ayatullah ya kisi Sahib e ama shaks ki book me parhon to Jo cheezen usme likhi hon us par yaqeen karon aur itebar karon ?

Jahan tak shak aur doubts ki baat hai aap koshish kijia mashoor aur authentic writer ki books parhen. Misal ke taur per agar aap Ayatullah shaheed Mutahari ki books parhen to aapko koi doubt nahin hoga Inshallah. Ayatullah Dast Ghaib Shirazi aur Ayatullah Ameeni, Ayatullah Makarem Shirazi in sabhi shakhsiyaton ki books English aur hindi aur Urdu main translate ho chuki hain.

Koshish kijia Islam se related books agar kisi non muslim ne likhi hai to bahot attention se parhen main Mana nahin karta magar aksar aise writer beech beech main aisi baten likhte hain jo hamare basics ke against hai.