Me ne pouchna tha k quran o hadith aur shariat me kaha pe btaya gya hai k aik na mehram larky ka 1 na mehram larki se contact rakhna haram hai? aur kia ye bat aaima e masomeen a.s k talimaat ya farameen me hai k 1 larka aur larki apas me contact nahi rakh sakty?
jazak Allah

Faqih apne pas se fatwa nahi deta ayat aur Rewayat ki hi raushni me fatwa deta hai. Apki zemmedari Faqih aur Mujtahid ke Fatwe par Amal karna hai
Han agr ilmi hawale se ap dekhna chahatin hai ki kon si ayat aur Rewayat is bare me aae hain

Surae Madeda, Ayat 5
Surae Ahzab, Ayat 32
Surae Nisa, Ayat 4

me ne pouchna tha k quran o hadith aur shariat me kaha pe btaya gya hai k aik na mehram larky ka 1 na mehram larki se contact rakhna haram hai? aur kia ye bat aaima e masomeen a.s k talimaat ya farameen me hai k 1 larka aur larki apas me contact nahi rakh sakty?

Quran ya Hadis main zahir hai aisa to nahin likha hai ke ek na mahram Aurat dosre Na mahram mard se baat nahin kar sakti ya contact nahin rakh sakti. magar ab sawal eh hai ke eh contact kis hadd tak hai agar koi aurata ya larki kisi na mahram mard se flirt kare ya unse aise baat kare ke samne wale ke dil main Shaitan waswsa paida kare to eh kayez nahin hai.
يَا نِسَاءَ النَّبِيِّ لَسْتُنَّ كَأَحَدٍ مِّنَ النِّسَاءِ إِنِ اتَّقَيْتُنَّ فَلَا تَخْضَعْنَ بِالْقَوْلِ فَيَطْمَعَ الَّذِي فِي قَلْبِهِ مَرَضٌ وَقُلْنَ قَوْلًا مَّعْرُوفًا

O wives of the Prophet! you are not like any other of the women; If you will be on your guard, then be not soft in (your) speech, lest he in whose heart is a disease yearn; and speak a good word.(33:32)
maine pahle bhi likha tha ke agar kisi aurat aur mard ka jo ek dosre ke liye na mahrah hain apas main rabeta sirf Islamic dayere main aur iffat aur modesty ko maintan rakhte hue hi possible aur allowed hai. iske alawa beghair kisi legal need ke apas main rabeta rakhna sahi nahin hai.

me ne pouchna tha k quran o hadith aur shariat me kaha pe btaya gya hai k aik na mehram larky ka 1 na mehram larki se contact rakhna haram hai? aur kia ye bat aaima e masomeen a.s k talimaat ya farameen me hai k 1 larka aur larki apas me contact nahi rakh sakty?

Ws, contact kahan tak? Sirf Baat karna jo haram ki taraf na le jata ho wo mana nahi hai,,, har wo kaam jo haram ki taraf Jane ki wajah bane wo bhi haram hota hai ispar aayat aur hadisen maujood hain

me ne pouchna tha k quran o hadith aur shariat me kaha pe btaya gya hai k aik na mehram larky ka 1 na mehram larki se contact rakhna haram hai? aur kia ye bat aaima e masomeen a.s k talimaat ya farameen me hai k 1 larka aur larki apas me contact nahi rakh sakty?
mujy sirf hadith o farameen k hawaly chye

quran ki ayat hai ke momenin se kah dijye ke apni aankho ko ( na mahram se band kar len ) aur momena se bhi kah dijye ke apni ankho ko na mahram se band kar len.

jab khuda quran me na mahram se nazar milane ko mana kar raha hai to baat cheet hansi mazak… to yaqinan mana hi hai.

aur hadees bahot zada hai aap wasael al shia ke abwaab nazar karne me dekh sakti hain.