Me university student hun aur meri university me co-education system hai. Meri friends girls hi hain par prhai k silsily me boys say bhi baat hoti hai aur jab class trips hon tou tab prhai say hat k bhi baat cheet hojati hai. Me shia hun tou aksar sunni boys say discussions hoti rehti hain aur 1 boy atheist hai us say bhi bhut discussions hoti hain. Boys mery sath facebook pay bhe add hain aur un kay sath social media k through contacts bhi hain. Me khud engaged hun aur meri niyat bilkul sahi hai, boys say istrha contact me rehny se mery andar unk liye kisi kisam ka koi jazba paida nahi hota aur mujy is baat ka bhi pora yakeen hai kay koi jazba paida nahi hoga. Mera fiance aur mery bhai mery boys sy is tarha waly contacts say satisfied hain. Mera sawal yeh hai k kia islam is tarha kay contacts allow karta hai ya islam mai sirf yai hai k boys say kisi bhi soorat contact na rakha jaye

According Agha Sistani:
Ap Boys ke sath sirf zarurat ki surt me rabta kar saktin hain aur zaheran aksar discussion zaroori nahi hote to inse parhez karna behtar balki aksar jagah zaroori hai.