Meei sabse badi problem ye hai ke mai imagine bohot karene lag gaya hoon
Jaise mai agar koi india ki cheez kharidoo oil, sweets, anything jis me gosht na hoo to mai imagination shuroo kardeta hoon ke. Ye india ki factorry me bana saboon ya oil hai jahan 99 percent log hindu kaam karte hai to zaroori kiso ne haath lagay hoga kyinke india me itna hygiene nahi hai ke koi gloves pahenta hoo. Saray hindu hai aur biscuits, chips etc bina hath kagaue banana mumkin nahi hai etc. To ohir mai sab cheezoon ko najis samajhne lag jata hoon.
Aur agar ignore karne ki koshish bhi karoon to jab tak mai us najis samjhi gai cheez ko pipe se paak na kardo tab tak mujhe na bhook lagti hai aur na hi kujh sujhai deta hai. Aur anxious aur gussia bohit aata hai. Aur jab wash kardo tab hi chain padta hai.
Beshak ye meri jihalat hogi. Lekin mujhe mere masail ko koi sahi samjhata nahi hai. Bas har koi tauzeeh ka fatwa bata deta hai. Jabke mai tauzeeh ko kai baar padh chuka hoon.
Rules maloom hai lekin application of rules me mai jihalat karta hoon.