Mein n ye pochna tha k kuch months pahly m kisi bht bhari problem se guzr rahi the to me ne Allah pak se dua ki us ne qabool bi ki pir jab m us problem se guzr rahi the mein gunnahu se bachti the to mera yakeen iman bohot pukhta tha. Mein har wakt ak lazat mehsoos karti the sakoon k sath means jesy Allah ko bht qareeb mehsoos karna jab s mein n usy mehsoos kea har wakt mjy dunia me kabi is trha ki lazat pahly nhi mili kisi cheez m. But jab se problem solve ho gae us ke bad b mein gunnah nhi karna chahti bs Allah ko wesy he mehsoos karna chahti jesy pahly karti the magr ab mein pahly jesy mehssos nhi kar parhi gunnahun s b bach rhi hn. Sab hai but ab wo cheez nahi hai. Kya kie gunah ho gya hai ? Ya Allah naraz hai? Kuch samjh nahi a rhi

Allah kabhi apne bandon ko khud ke qareeb bulane ke liye masaeb aur pareshani me giraftar karta hai. Ab agar aap waisa mahsus nahi kar rahi hain to raat me jab sab so rahe hon to uthkar namaze shab padhiye ya kam se kam 2 rak'at namaz aur allah se baten kijiye.
Har namaz ke baad 70 baar isteghfar kijiye