Islam main aisa kahin nahin likha hai ke Insan apne har kam se pahle istekhara kare. Allah me Insan ko Aql di hain aur sath main Shariayat Ab agar koi kam Shariyat ke aitbar se Haram nahin hai to zahir hai use karne ki Poori azadi hai. Fir bhi Quran main irshad hua hai.
وَشَاوِرْهُمْ فِي الْأَمْرِ فَإِذَا عَزَمْتَ فَتَوَكَّلْ عَلَى اللَّهِ إِنَّ اللَّهَ يُحِبُّ الْمُتَوَكِّلِينَ
and take counsel with them in the affair; so when you have decided, then place your trust in Allah; surely Allah loves those who trust.(3:159)
Lehaza bahot ziyada agar darr hai to us kam main mashwera kijia aur agar ashwera kr liya aur Ab irada hai ke woh kam karna hai ko ab do Dil Mat ho Allah per bharosa karen aur woh kam shuru karde.