Mera masla ye hai k maine abhi abhi Islam qubool kiya hai aur ghar wale abhi tak shia me dakhil nahi hue hein. Humare ghar kafi waqt se hindu maid hai jo cleaning karti hai jaise poocha wagaira lagana. Mere ghar wale najasat ki baat ko samjh nahi pa rahe k hindu se zameen saaf karwana ghar ko najis karta hai na us maid q yun achanak nikal dene pe razi hein. Mere liye is masle me kya hukum ya hal hai?

Aapki baat sahi hai aur un ki samajh me yeh baat nahi aayegi aur samajhne me Waqt lagega
Aur aap zyada kahengi zidd badhegi aur aap ki baat ko Ghar wale aap ki kisi baat ko nahj sunenge In’Sha’Allah aapko kaam karna hai is liye sabr ke sath saajhdari ke sath kam karein.
Islam ki tableegh 124000 nabiyon ne ki phir Rasul aaye sare hukm ek sath nahi aaye Waqt laga In’Sha’Allah Sab theek hoga.
Aap khud ehtiyat karein.
Geele paon se zameen par na chalein geele hath se touch na karein dry hai tu najasat transfer nahi hogi
Aur namaz wa Ibadaat ke liye aap musalle par khadi hoti hain.
Agar najis zameen hai dry hai tu namaz bhi ho jayegi bus sajide Wali jagah paak ho woh tu aap waise hi musalle par namaz padh rahi hain.
Issue smoothly resolved ho Gaya Ghar me koi tension bhi nahi dispute and differences bhi nahi Ibadaat bhj sahi aur taharat bhi aur In’Sha’Allah ek din Sab theek higa