Mera sawaal hai maine social media par 2 photo dekha jisme ziyarat e nahiya ke jhumle the

woh 2 jhumle aise the

1. Salam ho uss qaidi par jiske gosht zanjeer kha gayi

2. Salam ho rukhsar par jo karbala sei kufa kufa sei shaam tak rangaat badal te rahe

Jab mai yeh 2 jhumle ziyarat e nahiya mai dhunda toh mujhe nahi mile. Kya aap batayege ke yeh dono jhumle ziyarat e nahiya mai hai ya nahi. Aur agar hai toh kaha hai?

السلام على النفوس المصطلمات

السلام على الجسوم الشاحبات

Mashhoor ziyarate nahiya me ye do jumla hai jis ka mana hai salam ho un jismo par jo zanjeer me jakde gae the
aur salam ho un jismo par jin ke rang ud gae the