Mera sawal h ki kal me mjlis me gai to waha hadiskha ne padha be namazi se taluk na rakho use salam na kro.usse duri bnao.agar shohar hi be namazi ho to kya kre.

In tamam ahadith ka maqsad Namaz ki ahmiyat ko Batana hai Kyonke namaz deen ka sutoon (pillar) hai
Magar deen ka hukm hai bat ko hikmat Aur aql ke zariye samjhaya jaye is liye bahot achi tarah se shauhar ko namaz ki ahmiyat samjhaiye ke Khuda ka hukm hai wajib hai Imam Ali as ne maidan e hang me padhi imam Husain as ne Karbala me kin halaat me Namaz padhi inshallah woh samajh jayenge