Mera sawal hai k muje ye to samaj me aagaya ke allah is duniya me aazmaish aur musibat kyu bhejta hai.
Lekin ye samaj nahi aaraha k Allah is duniya me naimat kyu deta hai. Aur imamo ki duao me is duniya ki naimat mange ki dua kyu hai. Jab k duniya ki kisi bhi cheez se mohabbat to thik nahi to fir is duniya me Allah se kuch manga kesa hai. (Halal)
Aur ye samaj nahi aaraha ke ek aur duniya ki mohabbat thik nahi. Dusri aur allah kehta hai acha khana khav, acha libas pehno, ache se raho, shadi me miya ek sukun hai etc