Mera sawal tha ke kya koi lady jiska haiz ka 6th day ho, wo Imam bargah ja sakti hen? Ghusl e haiz kerke ya nhi? Maslan koi Lady 1st night ko haiza ho or 6th ki subh me ghusl anjam de jabke wo 7 days ki adat rakhti he to kya wo paak h? December 31, 2020 by Hasan mahdi Hayz ki halat me Imam bargah jasakti hai. Sirf masjid air masomeen ke Haram jana haraam hai. Aur agar aapko yaqeen ho ke hayz 6th day tamam hogaya to aap ghusl karsakti hai aur aap paak hum hojayengi Mu'alimah Munira Kiramati Urduwomen