Mera sawal ye h k mera bhatija jiski umr 7 sal thi uska inteqal ho gaya h. To mera swal ye h uska chaliswa kitne din ka hona chahiye q ki wo masoom baccha tha. Koi bol raha h 23 din ka koi bol raha h 35 din ka.
Kiya uska b chaliswa bade insan ki yrha yoga ya kam din ka.

Or dusra swal ye h uski mot hospital me hue thi kiya chaliswe or ghr ki putae zarury h ya nahi ghr or uski ruh nahi nikli

Jo kuch aapne sawal main poocha hai uska Islam se koi Talluq nahin hai sab kuch logon ki banayee huee rasmain hain. na puatayee ki zaroorat hai na Rooh nikalne ki zarooaat hai. Jahan tak chaliswain ki baat hai to chaliswa is liye sirf nahin hota hai ke marne wala khuda na khasta gunahgaar tha to kiya jaye aur agar gunah nahin kiya tha to zaroorat nahin hai. Chaliswan karte hain take Aimmah ki musibat yaad ki jaye aur jisse Aimmah ke gham ko yaad karke Marne walon ke ghar walon ke dilon taskeen ho sake.