Aap eh kam is Niyyat se nahin kar rahi ke aap apne aap ko zeenat de rahi hai. Zahir hai aapki Niyyat eh hai ke aap seekh rahi hain lehaza eh ek hunar ki tarah hai aur Moharram main koi Hunar seekhna se related koi manahi nahin hai.
Ab baat eh hai ke eh profession thora sensitive hai is angle se ke agar ismain behijabi shamil hai ya namahram ke samne eh sab karna hai to fir isse parhez karna parega agar che iska moharram se koi relation nahin hai eh rule hamesha ke liye hai. Dosri baat choonke moharram aur safar hamare yahan gham ke months mane jate hain aur aisa hai bhi in months main Ahle Bait e Rasool ( saww) per bahot musibat dhayee gayee lehaza aap jab apne makeup ke class se bahar aayen to ab aapke chehre per makeup nahin hona chahiye isse samajh main ghalat message jayega. Magar seekhne ke liye jo aap makeup main karti hai usmain koi mushkil nahin hai. Magar 9 aur 10 moharram ko aisa karne se avoid karen balke anjam na den.