Mera sawal ye ha bachpan me jb baligh hue thy to ghusal ka sahi tareeqa maloom na tha, gunnah bhe huy or ghusal thek na hony ki waja se us duran jo bhe ibaadat kein Namaz rozay wagera 1 ya 2 saal jo hamny sahi tareqa maloom na hony ki waja se apni traf se sahi anjaam di hain. Aur ab puranay gunnaho se sachi toba krli ha or Ghusal ka tareeqa bhe sahi maloom hai. To kia wo ibaadat qabool hojaengy ya hamy unki dubara se qaza karna parygy? Jabky ab sab maloom ha or future me ehtiat bhe krengy to kindly rehnumai farmaein.

Ghusl ka namaz ka sahi tareeqa seekhne wajib hai
Tauba ke bad gunah Allah zaroor maaf karega
Magar Jab yeh yaqeeni hai ke dono hi ghalat the tu unko repeat karna hoga Kyonke sahi seekhna wajib hai
Kyonke ghusl sahi na hona yane taharat na hona jiske beghair amal sahi nahi hai aur khud us amal me bhi mistakes jaisa ke aap ne sawal me likha hai
In’Sha’Allah repeat karne se amal bhi sahi hoga aur In’Sha’Allah mehnat ka ajr aur sawab bhi milega