Mera sawal ye hi ki mard aurat ko dhamki dete talaq ki kya aurat kk haq nh h wo talaq de de.shohar agar be deen be namaZi ho roza na rakhta ho khums na nikalta ho zakat us pr wajib ho.to aurat kya krna chahiye.khuda ki marzi man kr use apna marzi krne dena chahiye.

Shauhar ka Dhamki dena Sahi nahi hai yeh rishta mohabbat Aur Mawaddat ka hai ahle bait as ki zindagi ko namoona e amal qarar de kar khushhal zindagi basar karein.
Taalaq ya khula masale ka hul nahi hai bulke iske bad Masayel shuru hote hain be deen ya be namazi shauhar ko deendar banane ki koshish karein local ulama Aur khandan ke buzurgo se madad lein.
Hazrat Aasiya ki misal maujood hai.
Bulke jo taqat Aur energy log rishte ko khatm karne me lagate hain uski aadhi rishta bachane me kharch karein tu Ghar jannat bab jayega