Mera sawal yeh hai ki “Syed pey zakat ka aur khums ka kya tareeqa hai aur kis tarha nikala jaata hai aur Kis ko diya jata hai”

Zakat aur khums nikalne me syed aur ghair syed ka koi farq nahi hai.

Khums ke liye aap agar pahli baar nikal rahe hain to aap pahle ek date select kar lijiye phir apne paison ka hisab kijiye kitna us date me aapke paas hai. Aur wo chizen jo unused hain, ya kam hone wali chizen kitne percent bachi hain jaise soap waghaira. Phir saari qimat ka 20% khums nikle ga. Khums me barabar consult ki zarurat rahegi. Ek local maulana jo samne se samjha sake usse consult kijiye, easy rahega.

Zakat sab par wajib nahi hai. Wo ek had tak pahuchta hai tab wajib hota hai. Zakat 9 chizon par hai gehun, jau, khurma, kishmish, sona, chandi, oont, gae, bakri