Mera swal ye h k sone se wuzu tut jaty he maslan ham zohar asr ki namaz ek sath padte h. Hamne zohar ki Namaz ada ki or duwa mang kr namaz tamam kr ke ham ja namaz pr hi so gye or kuch der bad uth kr hamne asr ki namaz padli to hamari namaz ho sktyi h ya iske lye hame dobara wuzu krni padegi. Sone s hamary wuzu to to tut nhi jaty q ki aksr mere sath esa hota h k Zohar ki Namaz Ada krte krte Mujhe Nind Ane Lagty h or janamaz pr hi kuch der k lye so jaty hu bad m uth kr asr ki namaz ada krty hu.
Main question mera Wuzu ke mutallik hi h.

Ji so jane se wuzu batil ho jata hai isliye aapko namaz e asr ke liye wuzu karna lazmi hai. Aur jo namaz beghair wuzu ke parhi hai uski qaza bhi karna payegi. Aap eh idea laga lijia ke kitni aisi namaz aapne parhi hai jabke aap usse pahle so gayeen thin fir un namazon ki qaza parh lijia.