Mera ye sawal tha k in baton ki kia value hai jo log kehtay hain new bride hai tu black colour k clothes na pehnay. Ya monday acha din nahi hai nikkah k liye ya white colour na pehno. Is tarhan k superstition k liye kia karain hum?

Kala kapda pahenna gham ke alawa makrooh hai is liye shadi ke mauqe par black dress na pahnein.
Monday ko nijak mana nahi hai.
Magar shabe juma aur juma behtar hain
White dress pahna ja sakta hai Islam mana nahi karta hai bride White dress na pahne yeh subcontinent ke culture ka hissa.
Warna Iran aur duniya ke Bahot se countries me bride ka dress white hota hai.