Mera yeh sawal hai keh main Tahajjud main Allah se jo bhi cheez mangoonga kiya mujhe woh cheez foran mil jayegi?

Scholars ne kisi bhi Dua ki qabooliyat ke liye kuch conditions batayee hain. For example mangne wali ka khuloos e dil se mangna. Kis waqt aur kahan dua mang raha hai. Kisi ke huqooq ko to nahin mara hai waghairah magar sabse ahem eh baat hai ke Allah (swt) hamara khaliq hai aur Ghaib ka ilm usi ko hai lehaza woh behtar janta hai kiya Hamare haqq main achcha hai aur kiya Achcha nahin hai isi liye Quran main Allah farmata hai:

وَعَسَىٰ أَن تَكْرَهُوا شَيْئًا وَهُوَ خَيْرٌ لَّكُمْ وَعَسَىٰ أَن تُحِبُّوا شَيْئًا وَهُوَ شَرٌّ لَّكُمْ وَاللَّهُ يَعْلَمُ وَأَنتُمْ لَا تَعْلَمُونَ
‏And it may be that you dislike a thing while it is good for you, and it may be that you love a thing while it is evil for you, and Allah knows, while you do not know.(2:216)

Lehaza eh kahna ke jo bhi ham mangenge woh FAURAN mil jayegi aql aur mantiq ke khilaf hai. Jaise jab aapka bachcha zid karta hai ke mujhe chocolate khana hai aur Doctor ne mana kiya hai ke uske teeth kharab ho sakte hain to aap ham uske mangne ke bawajood nahin dete magar bachcha zidd karta hai kionke woh uske result se waqif nahin.
Lehaza hamesha apni Dua main Insan ko yahi kahna chahiye ke “Mere Allah agar eh kam ya eh cheez mere Duniya aur Akherat ke liye munasib hai to mujhe Ata kar de…”
Rahi baat Namaz e Tahajjud ki to Allah (swt) ka Quran mai farman hai ke agar Insan Namaz e Shab ( Tahajjud) parhta hai to Mumkin hai use “ Maqam e Mahmood” ( position of great glory ataa ho). Main nahin samajhta Isse barhi Sa’adat aur kuch Insan ke liye is Duniya main ho sakti hai jabke Allah usse itna barha Wada kar raha hai. Isliye Tahajjud ki Namaz is Niyyat se na parhi jaye ke meri falan Hajat poori ho jaye fir to eh ek tarah ki Tijarat huee aur Allah ki Ebadat ko uski Azamat aur Kibriyayee ko Nazar main rakh kar karna chahiye na ke is liye ke Hamara koi kaam hall ho jaye.

وَمِنَ اللَّيْلِ فَتَهَجَّدْ بِهِ نَافِلَةً لَّكَ عَسَىٰ أَن يَبْعَثَكَ رَبُّكَ مَقَامًا مَّحْمُودًا
And during a part of the night, pray Tahajjud beyond what is incumbent on you; maybe your Lord will raise you to a position of great glory.