Mere do sawal hain
1) Kia hamey apni qabar ka bandubast pehle se kr lena chahiye yani pehle se khareed len?
2) Kafan hum karbala se latey kia usko aksar khol k dekhna chahiye baaz log kehte hain hafte me 2 se 3 martaba dekha karen

G Han insaan ko chahiye apne aapko maut ke liye tayyar rakhe. Is tarah woh gunah se bachega aur wajib ada karega. Is liye qabr ko khareed lena chahiye aur kafan khareed kar rakhna chahiye aur use dekhna acha amal hai. Aur maut bar haq qabr khareedne aur kafan dekhne se waqt se pahle maut nahi aayegi magar aasan zaroor ho jayegi.