Mere payr me phoda hai aur uss par patti bandhi hai. Jab usse saaf karna hota hai to me khoon daba kar nikal deta hu aur kise kapde se poch leta hu.

To kya usse kapde se pochne par wo pak ho jeyega ya pani se pak karna zaruri hoga

Agar paani ka koi nuqsan nahin hai to theek hai warna paani se saf karne ki zaroorat nahin hai. Jo hissa zakhmi hai use patti se bandh kar baqi ke ass pass ke hisse ko dhul lijia bas kafi hai.