Main bahot adab aur ehteram ke sath kahna chahta hoon aisi koi dua nahin hai ko Insan ke Mustaqbil ki guarantee dey Sake. Iska reason eh hai ke agar aisa hota to fir is duniya main aane ka maqsad hi nahin rah jata. Eh Duniya Amal aur Action ki duniya hai. Quran ne saf kaha hai :
Surah An-Najm, Verse 39:
وَأَن لَّيْسَ لِلْإِنسَانِ إِلَّا مَا سَعَىٰ
And that man shall have nothing but what he strives for-
Hamara sara ham o gham is Duniya main yahi hai ke ham har kam main jise hame karna hai apni koshish aur Talash karen aur Allah (swt) per tawakkul karen aur usse behtar Natije ke liye dua kare.Isi kj ubidiyat bhi kahte hain aur yahi haqiqi mano main Dua karna hai. Dua ka matlab hota hai Pukarna to ham Allah ko hamesha hazir nazor maan kar usse pukaren aur Ahle bait ( a.s) ke wasile se Pukaren.
Aur nahin haj ke koi insan kuch khas dua parh le fir use kuch karne ki zaroorat nahin.
Bachchon ke achche aur Bure hone main Maan Baap ka pahla kirdar hai fir unke teacher ka aur Dost ka aur fir Society ka agar inmain se koi bhi cheez imbalance hoti hai to uska long ter effect bachcho ki parwarish per parhega. lehaza aap agar apni aulad ko achcha banana chahte hain aur jaisa bhi banana chahte hai eh depend karta hai aap apni khud ki life kis tarz per jee rahe hain. Inshallah Allah ham sab ki hidayat farmaye.