Meri family taqleed k mamle me bht strict he. Wo chahte he ke mere hone wale husband b taqleed kre. Yha esi situation me esa hoskta he ke wo ladka jhoot bol de k haa me taqleed krta hu?

Agar che Taqlid ek ahem mas’ala hai aur shariat ke laws ko follow karne main ahem issue hai magar aisa to nahin hai ke agar koi taqlid nahin karta to uske Shia hone main koi problem hai.
Magar itna zaroor hai ke agar faith main similarities nahin hongi to aapke liye future main diqqat hogi.
Magar jaisa ke aapne likha hai ke woh jhoot bol den ke taqlid karte hain to sawal eh hai ke ek Insan jhoot bolne ke taiyyar hai jo ke haram hai aur is baat ke liye taiyyar nahin hai ke din ke usool aur qawanin ko kisi expert se maloom karna chahiye. Ajeeb baat hai!
Shadi main kabhi kabhi choti baten age chalkar musibat ka sabab banti hain.
Lehaza agar mumkin hai to larke ko samjhaya jaye ke deen ke wajibat ke mas’ale main parents ki itteba nahin ki ja sakti. Agar unke parents taqlid nahin mante purane khayalat ke hain to eh to duniya dekh rahe hain. Inko samajhna chahiye ke kia haqq hai aur kiya batil.