Meri wife Aur mere parents ki banti nahi hai. Dono ki soch alag alag hai. Dono apni apni jagah par sahi hai. Wife alag hone ko bol rahi hai. Mujhe kya Karna chahiye. Husband ke huqooq bataye.

Islam main Bete (son) ke Huqooq main se eh hai ke woh apne waledain ki ita’at kare har us kam main jo shariat ke against na ho. Aur unke kharj ko bardasht kare agar woh is layeq nahin hain ke apna kharj utha saken.
Ab agar aapke alag rahne se unki dilaazari hoti hai aur unko takleef hoti hai to aisa kaam Mat kijia jisse unko takleef ho.
Jahan tak wife aur husband ke rights ki baat hai to Husband ka pahle haqq eh hai ke woh apni wife ke tamam kharj ko poora kare aur use na zahni takleef de aur na jismani. Iske baad agar Shuhar aisa karta hai to wife per wajib hai ke woh apne shauhar ki ita’at kare aur uska har amal main sath de.
Lehaza aapke issue main aap jahan tak ho sake apne Parents ko aur apni wife dono ko convince Karen aur ek mutual understanding maintain karen.
Kuch akhlaqi bate sirf aapse related hai ke apni aur apni wife ki sari baten apne Parents se share na karen aur isi tarah apne Parents ki baten apni wife se. Bahot si baton ko nazar andaz karen aur dono ke beech connecting link ki tarah rahen.