Mjhe ye janna hy ka main ahlay sunat k sath jamat ka sath namaz hath bandh k apni namaz par sakta hn. kyun k m jia office main kam karta hn wahn sb ahlay sunat hn or mahol bhi saz gar nai to main un k sath namaz parta hn jamat k sath magr hath bandh kar. Bs dua e qanot ni parta or jb hm salam pherty hn to dil m Allah o akbar 3 bar parta hn bajaay rafa dain karne k. Kiya meri namaz ho sakti hy

Ahle sunnat ke sath namaz padhne ki is shart ke sath Aagha e sistani ijazat dete hain ke jamat ki Niyat na kare apni namaz padhe rahi bat qunoot ki wajib nahi hai is liye nahi padhne se masala nahi Magar yeh woh Sunnat hai ke jiski itni Takeed ki Gai hai ke agar rukoo me jane ke bad yad aaye tu rukoo ke bad padhe.
Baqiya assalamo alaikum wa Rahmatullah e wa barakatuh kahne ke bad namaz tamam ho Jati hai allaho Akbar kahna sunnat hai Hathor Ka buland karna sunnat hai
Is had tak tu koi issue nahi hai Magar hath bandh kar aap namaz nahi padh Sakte siwaye taqayye ki Surat ke jab jan mal izzat aabroo ka khatra ho
Agar aisa na ho tu in namazo ko phir se padhna hoga