Tamam Nabi aur Rasool ka sabse pahla paigham yahi raha hai ke Allah ki ebadat ki jaye aur uske siwa koi dosra Mabood nahi. Magar Hazrat Ibrahim apne zamane main akele aise Nabi they jinhone mahrz 16 sal ki umr main apne zamane ki sabse powerful hukumat (Namrood) ke against Muhim ka agaz kiya aur fir Namrood ke hukm per inko aag ke hawale kiya gaya. Agar che woh Allah ke Nabi they magar unko aag main jana parha aur fir Allah ne usi aag se Hazrat Ibrahim ko bacha liya aur Namrood kuch nahin kar saka. Allah chahta to Barish bhej kar aag ko bujha sakta tha magar agar aisa hota to log yahi kahte ke ittefaq se barish ho gayee warna Hazrat Ibrahim jal jate. Magar Allah ko eh sabit karna tha ke koi kitna bhi plan kion na kar le aakhiri aur final plan uska hi hota hai. Aaj ek Ibrahim ke manne wale taqreeban 5 billion log hain magar Namrood ki qabr ka bhi pata nahin hai. Hazrat Musa ki wiladat ke waqt Firaun ne 70 hazara masum bachchon ka qatl karwaya take ek Musa ko mar sake magar wahi Musa agar zinda bache aur inki parwarish huee to usi Firaun ke mahel main usi ke zeere say. Ab sawal eh hai ke fir kion 70 hazar begunah bachche mare gaye. Iska jawab yahi hai ke Allah ko batana tha ke ek Nabi ki jaan ki qimat kia hoti hai aur dosra eh ke koi kita bhi powerful kion na ho Allah ki qudrat ke aage kuch nahin kar sakta.
Magar in sab hadesat ke piche sabse ahem Philosophy eh hai ke Hidayat ke raste main koi zabardasti nahin hai aur is material world main tamam actions cause aur effect ke system per chalenge. Agar Allah ko yahi karna ho ke Insan se uska ikhtiyar le ley aur use burayee na karne de (chah ka bhi) aur achchayee hi karaye ( na chahte hue bhi) to fir is Insan ki khilqat ka hadaf khatm ho jayega aur jabke Allah ki tamam creations main Insan ke alawa do aur aisi makhlooq hain jinmain janwar ke pass Aql nahin hai aur desire hai lehaza woh jo karen achcha bura sab barabar hai aur dosri makhlooq farishte hain jinke pass sirf Aql ( intellect) hai lehaza unke yahan burayee ka koi concept hi nahin hai.woh burayee ko guman bhi nahin kar sakte.
Magar Insan tanha woh Makhlooq hai jiske pas desires ke sath sath Aql bhi hai. Ab Insan agar aql ko dominant rakhta hai aur apni desires ka ghulam nahin banta to woh farishton se greater ho jata hai aur agar apni desires ko dominant rakhta hai aur Aql ki nahin sunta to woh janwar se badtar ( lower) ho jata hai. Yahi woh sysytem hai jiske under eh clear ho satka hai ke kon kitna Human nature develop kar paya hai aur kon kitna neeche ghir chuka hai.
Agar maut shikast ya buri cheez hoti to kabhi bhi isi maut ke pul ( bridge ) se guzar kar woh Imam Husain jinko Shia apna ideal manta hai ise qabool na karte aur yazid aur yazidiat ko khatm karne ke liye dosra rasta apnate. ( aur aisa nahin hai ke Imam Husain ke pass koi dosra option nahin tha. Nahin bahot se options they aur mumkin bhi tha ke maujoida Yazid ko khatm bhi kar dete magar fir Yazidiat ka kia hota uski roots baqi rahti lehaza agar che Imam ko shahid kiya gaya lekin is ek Shahadat ne Hazaron Lakhon Husaini paida kar diye.
Jis Shia ke qatl per aap naraz hain ( aur hona bhi chahiye) unhin shia ki tadad Rasool e Khuda ki wafat ke baad 5-7 thi magar aaj Alhadolillah millions ki tadad hai to kisi ke marne se agar koi khatm ho jata to kaha ja sakta tha ke uski nasl khatm ho gayee magar jitna bhi tareekh main Zulm hua hai usse na to Aqide main kami aayee hai aur na tadad main.
Asl main ham logon ne deen ka matlab hi ghalat samjha hai aur hamare liye Adalat aur Allah ke nizam ka maqsad kiya hai eh clear nahin hai.
Eh duniya poori tarah se asbab aur elal per manni hai aur agar asbab aur elal ko hata liya jaye to jabr nazar aayega. Jabr kia hai aap jante honge. Allah ne is duniya main kuch usool banaye hain aur unhin usoolon per eh duniya chalegi aur agar koi un usool ke against jayega chahe jaan boojh kar ya anjane main uske consequences ko bardasht karna parega. Agar ek Insan jante hue ya na jante hue poison kha le to use marna hai agar nahin marta hai to hairat ki baat hai kionke is duniya ka yahi system hai. Agar barish hogi to flood aayega aur mumkin hai us flood main 10-20 log mar jayen aur 100-200 ghar tabah ho jayen magar scientific research ki raoshni main flood main baad jo soil erosion hota hai aur poori zamin ek sire se nayee zindagi hasi karti hai usko dekha jaye to woh un mauton se barhi nemata hai. Ya jab jungle main barhe tree bahot purane ho jaye hain tab chote plants grow nahin kar pate kionke in tak na to sooraj ki roshni parhti hai aur na zamin se woh minirals le pate hain lehaza naturally taur per jungle main aag lag jati hai aur uske baad woh chote plats bhi grow karte hain agar nature ka aisa system na ho to Duniya main sirf kuch khas hi tarah ke vegetation baqi rah sakege aur baqi instinct ho jayege.
Agar koi Disease se mar jata hai to kiya koi Duniya ka insan eh kah sakta hai ke agar usko woh disease na hoti to woh kabhi nahin marta??? Ya agar koi kisi ko qatl kar deta hai to aisa nahin hai ke woh iski fana ya nabood kar deta hai balke agar koi nabood hota hain to woh Qatil hai. Magar kisi ke qatl ke baad Qatile ke amal ko justify nahin kiya ja sakta balke isse ebrat aur lessons liye jaye hain.
Dosri baat Agar eh baat clear hai ke hamne apne aap ko khal nahin kiya koi hamara khaliq hai to ab agar jisne hame khalq kiya hai use eh faisla lene ka akhtiyar hai ke kiya sahi hai aur kiya ghalat aur kab kisko marna hai aur kab tak kiskk jeena hai. Ham rh tay nahin kar sakte ke agar maut aa gayee to ghalat hua.
Magar is beech sabse ahem baat eh hai ke jaisa uper zikr kiya hai ke Allah ne is duniya main Insan ko majboor nahin banaya hai use Azad khalq kiya hai air Aql jaisi nemat di hai uske sath Shariat ka qanoon diya hai aur us qanoon ko samjhane wale Guide aur Hadi aur Rahnuma. Lehaza jo amal yahan anjam pa raha hai usmain Insan ka akhtiyar shamil hai ab agar Allah apni Rahmat ke hi zariye us Akhtiyar ko cheen ko to phir Insan ka imtehan kaisa aut fit Saza aur Jaza kaisi aur fir Nek aur Bad kon hoga aur fir Tauba ka kia matlab rah jayega.
Isliye aisa nahin hai ke jo System Duniya main chal raha hai use Allah rokta kion nahin Quran ki ayat hai Allah ki sunnat main koi tabdeeli nahin hai haan Insan apni gharaz aur lalach main uske syatem ko torhta hai to agar koi ayatem ka torega to usmain khalal waqe hoga jaise Poison ki misal di thi agar masoom bachcha khayega to woh bhi mar jayega aur ek Zalim insan khayega to woh bhi mar jaurga kion kionke Allah ne Zaher (poison) main eh asar rakha hai. Ab koi kahe ke Allah ne poison kion banaya to bhai chaqunek hi hota hai ab chahe usse Sabzi kati jaye ya ek Zakhmi insan ka operation kar ke use dobara nayee zindagi di jaye ya kisi ko maar diya jaye magar chaqu main dhar aur tezi Zulm nahin hai usko istemal karne aur uske tariqe se Insan Zalim aur Madad gar banta hai.
Bahot si Dalilen di ja sakti hain jahan se sabit hai ke agar poori kayena ke system ko uper se dekha jaye to bahot Hasern aur well disciplined way main Allah ne banaya hai aur har cheez ki apni ek jagah hai aur zaroorat hai. Magar Insan usko apne faide ke liye istemal karta hai to disturbance hota hai magar uske ke bar khilaf Duniya main aur sari creations of Gof well managed wah main kam kar rahi hai chahe woh solar system ho ya animals life ho har jagah Allah ki Adalat aur Hikmat nazar aa rahi hai.