Muje allah ke existence pr doubt horaha ha. Muje bata hai uske siva koi khuda nahi. Sari dalil scientific, philosophical sab pata hai muje lekin mera dil is bat ko accept nahi krraha. Me bohot pareshan or depressed ho gaya hu. Me namaz patda hu to lagta hai k koi muje nahi sun raha. Me akela hI bol raha hu. Me dua magna chahta hu mafi manga chahata hu lekin nahi ho paraha. Me kese mangu kyoki jab aapkisi k baat krte hai to uski ek image aapki zehan me aajati hai lekin allah to image me lana shirk hai, to kese sochu allah ko , baat kese karu?
kya yeh shetan kr raha haihai ya mehi asa hogaya hu don't know koi solution hoto please help!

Depression waghaira keliye professionals se contact karein.

Jahan tak baat Allah ki hai to uske saath connect hone keliye uske makhlooqat ke zariye hi se connect hona chahiye.

Masoomeen (as) ne Jaise Dua mein sikhaya hai. Kisi bhi Dua ka tarjumah dekhein aur uspe ghaur karein ke unho ne kaise Allah ko describe kiya hai. Jaise ke Dua Iftitiah ya Dua Kumayl.