Meri Bahen Allah se Dua karta hoon be haqqe 14 Masoomin aapki Waleda ko Shifa mile. Jahan tak Maula Ali ke Jogipura main aane ki baat hai to aap kaise itne yaqin se kah sakti hain ke Maula Ali (a.s) wahan aaye? Aur Han agar kisi ne khawab dekha to main aapko bata doon ke hamare khawab ki koi hasiat nahin hoti na to us amal karna hamari sharyee zimmedari hai aur na akhlaqi. Sirf aur sirf Nabi aur Imam ke khawab shachche hote hain aur woh uske mutabiq amal kar sakte hain.
Rahi baat in rauzon ki jahan aap aayee hain. To choonke ek daur tha Aimmah ki Ziyarat ( unki haqiqi Qabr) per jana Momenin ke liye bahot mushkil tha is liye hamare buzurgon be india main Shabih e Mazaraat e Aimmah tameer karaya jahan log jayen aur namaz parhen, Imam ki Ziyarat parhen, Dua mange magar afsose ke aaj logon ne in shabih e mazaraat ko kamayee ka zariya bana rakha hai aur. Duniya bhar ke khurafat aur superstitions ka rewaj failaya hua hai. Isliye Khuda ke waste in sab chakkar main mat parhiye aur apni waleda ka koi achche Doctor aur physiotherapist se elaj karaiye aur sath main Allah se Dua mange aur Aimmah se tawassul kijia. Rewayat main hai ke jab hamare Imam Mareez hote they to Bibi Fatima Zahra ( a.s) se tawassul karte they aur Tabib ( Doctor) se dawa lete they ya khud Dawa lete they.
Isliye eh khawab aur uski tabir ko zahen se nikal dijia iski na koi Islamic haisiyat hai aur na is per amal karna aapki sharyee zimmedari hai.