Mujhe namaz e shab ka sahi tarika janna hai

Kul 11 rak'at namaz hai
8 rak'at 2/2 kar ke 4 namazen. Namaze shab ki niyat se Namaze subh ki tarah.
2 rak'at Namaze shaf'a bina qunoot. Baqi Namaze subh ki tarah.
1 rak'at Namaze witr jo hamd, tauheed aur qunoot ke sath normal bhi padh sakte hain aur detail me bhi hai ki hamd phir 3 tauheed phir 1 falaq aur 1 surae naas. Phir qunoot me 40 momineen ke liye dua (allahumaghfir le.. Momin ka naam) 70 baar astaghferullah 300 baar alafw. Aur qunoot tamam kar ke puri namaz normal andaz me tamam kar den