Mujhe niyaz or fateha ka proper tareeka bataye.

Waise Nazr ka matlab hai ek tarah se kisi cheez ka qarar dena is cheez ke baad jab uski murad poori ho jaye misal ke taur per aapne nazr mani ke agar aapka koi kam poora ho jaye to aap ek din roza rakhenge lehaza ab agar aapki Murab Poori ho gayee to ab aap per us din Roza rakhna wajib ho jayega.
Ab choonke hamare samajh main Fateha aur Niyaz ek hi mana main hai lehaza Fateha ka waise to matlab hai Sura Al Fateha ( surah al Hamd)
Iska treeqa eh hai ke his Imam ki Niyaz dila rahe hain pahle Salawat 3 baar parhen aur fir Bismillah parh kar Sura Hamd 1 baar aur fir 3 baar Sura Ikhlas parhen aur fir 3 baar Salawat parh kar kahen is Niyaz ko Hadiya kiya Imam Jafar Sadiq (a.s) ya Panjatan e Pak ko ya 14 Masumin ko (jis Masum ki Nazr ki Niyyat ho) uske baad jo aapki hajat ho usko talab kijia.

Ab agar kisi apne Marhoom ke liye Niyaz hai to kahe Marhum ka nam aur 14 Masumin ke wasile se is Nazr ka sawab Hadiya kiya ( Marhum ka naam)