This is part of life so please don’t worry. Yeh bahot common hi bat hai aur shayad inhin qurbaniyon ki wajah Se Allah be Qur’an main jab bhi apni ebadat ka zikr kiya hai to fauran waledain ke sath neki ka hukm diya. Jab jab main poori raat jagta tha to apne Waledain ke liye Du’a karta the ke aaj is bachche ne ehsas dila diya ke meri parwarish main hamare waledain ne kitni zahmaten bardash ki woh bhi uswaqt jab zindagi ki basic needs bhi easily available nahin hoti thin.
Lehaza is cheez ko nemat janiye aur aisa magane kijia ke Pahle 3-4 hrs aapki wife so le aur aap apna kam kijia agar bachcha rota hai to aap use bheech main dekhte rahe aur iske bad aise hi aapki wife kare.
Islam main jab bachcha 5 yrs ke around ho jaye to ab usko alag sulana chahiye yahan tak ke uske siblings ke sath bhi nahin sulana chahiye.
Magar aaj agarche Europe aur America main 1 din ke bachche ko bhi alag hi sulate hain. Magar yahan bhi psychologist is baat ko mante hain ke jab bachcha physically parent’s se touch hota hai to usmain jo mohabbat jagti hai woh kisi aur tariqe se develope nahin ki ja sakti.
Baherhal kisi ne khoob kaha hai Allah ne waledain ko zamin per apni mohabbat aur ulfat ka mazhar qarar diya hai.
Agar che shariat main aisi koi cheez nahin hai ke agar bachche ko alag sulaya jaye to us per zulm hoga. Nahin, uske sone ka bed pass main lagaya ja sakta hai aur fir thori thori der per bachche ke seene per hath rakhne se usko ahsas hota hai ke koi mere pass hai. Aap bahot se tariqe try kar sakte hain ismain koi burayee nahin hai yahan tak ke log bahot chote bachchon ko bhi separate room main sulate hain to aisa nahin hai ke aisa karna bachche per zulm hai haan bas itna zaroor ghaurtalab hai ke 1.5 yrs ya 2 yrs ke bachche ko 8-10 hrs kisi daycare ya babysiter ke pass chorhne je jaisi awlad ki tarbiyat hogi fir un waledain ko future main complain karne ka haq nahin rah jata.