Mujhe ye pakka yad nahi ki mai kis age se namaz parh rhi hun shayad 11 ya 12 jabki agha 9 saal pr larkiya baligh ho jati hain to is hisab se meri qaza namaze maximum 3 saal ki hui or namaz start krne k bad bhi mainee bhot namaze qaza ki h us waqt me jinko mai ab ada krna chahti hun pr mujhe yaqeeni taur pr yad nhi ki kitni bad me qaza hui hain to hme kya krna chahiye. Kitni namaze parhni chahiye qaza ki mere sari namaze ada ho jae?

Apko jitni bhi namazon ke Qaza hone ka yaqeen hai bas usko ada kijye. Jaise apko 3 Saal 4 months ki namazo ke Qaza hone ka yaqeen hai aur 5 aur months ke bare me shak hai ki shayad 3 Saal 9 months ki namazen Qaza hain to ap 3 Saal 4 months ka Namaz Qaza kar len