Mujhe ye poochhna hai ke firozey ka pathar pehenney se pehle istakhara nikalwana chahiye hai kia? Maine suna hai ke firoza bhaari hai aur Har kisi ko raas nahi aata, ghum jaata hai..daagh parh jata hai, rang badal jata hai..? Iski pehchan bhi bata dijiye ke pata chal sake ke Asli hai ya nakli? Aur isko pehenney se pehle ke koi adaab hotey hain kia? Jaise sadqa nikalna?
Aur ek pathar hai zabarjad, isko pehenney ke faiday bata dijiyay.